Monday, 27 February 2012

Uljhanay.....!!! Uljhee see uljhanay....!!!



Uljhanay... Uljhanay.. Keetnee uljhanay hain is uljhee huve zindagee may....

Uljhany hain toot tee see uljhee uljhee saaso ke..

An jaanay an kahay rishto ko na neebha paanay ke uljhan

Vo bhulay say huvay vaado ko na tood paanay kee uljhan...

Un jaag tee soote raato may neendo kay na aanay ke uljhan...

Kooch toot tay say rishto ko resham sa majboot bananay kee uljhan..

Rooth kar sada Kay leeya gum Jo ho gaye un ke rooh ko talesh nay ke uljhan..

Uljhano ko suljhanay may ulajhtee zulfo ko suljhanay ke uljhan...

Uljhanay hain jo bus ulajhtee he jatee hain uljhanay...

Shabd hain kooch uljhay say.. Misray bhee hain unsuljhay say... Kooch uljhay say..

Ulajhtee huve uljhano ke uljhan ko suljhanay may he ulajh gayee hu...

Socha khuda say puchu... vo khud uljhay hain suljhanay may is jindagee ke uljhan ko...

Sunday, 12 February 2012

Jindagee.....!!!! :-)

Jindagee.... Jindagee kaya ho tum jindagee...
Kamseen umar kee vo pakee sahaylee ho tum..

Bheegee rato kee tum chatree...
Kaaptee sardee kee naarm garmee ho tum...

Kheel kheelate dhup may...khubsurat phoolo kee khushbu ho tum...

Cheel cheelate.... Garmee may...ghanay pead ke chaav ho tum....

Her gam say ladna tum say hain seekha Jindagee...

Kehnay ko to sab kooch hain, paar tum bin kooch bhee nahee hain Jindagee...

Jindagee tum nay bahoot kuch seekhaya hain.... 

Kabhi tum nay hasaya to kabhi bilakh bilakh kar rulaya hai,

Is jeevan ka KATU satya bataya hain...

Khud se bhi jyada kisi par vishwash mat karna.....
Kyuki andhere mein toh parchai bhi saath chod jati hai....

Tuesday, 7 February 2012

An kahee......!!!

Kuch an kahay see baatay, us an kahay say rishtay kee...
Vo kooch an kahay say ehsaas... Us an kahay see yadoo kee...

Aksar kuch an kahee see baatay... An kahay he maan ko zinzoor see daytee hain...
Uhee kooch an kahay paal... An kahay hee cheray paar muskan see choor jaatay hain...

An kahee he kuch an kahee yadoo Kay paal, an kahay he Palko par oos choor jaatay hain....
Kooch u hee say an kahay nazuk say paal, an kahay hee majboot say kar jaatay hain....

Kah na chaaha bahoot us an kahay say ehsaas ko, us an kahay say an sunay paal ke baat....
An kahay he zuba baya kar day tee hain.. Vo an kahay rishtay ke "khushee ka gam" Kee baat An kahay he koi sun layta hain vo an kahee see baat...vo an kaha ehsaas....