Friday, 2 March 2012

Bahot Hain....!!!!

Kisee bewafa say eak mulaqat bahot hain..
Jitna deeya humnay tera saath bahot hain..

Duniya ko dil kay daagh deekha u to kees tarah..
Aye zindagi yeh raaz chupaon to kees tarah..

Apni tabahiyoon mein mera haath bohat hain..
Jitna bhee deeya humnay tujhay pyaar aai "AJNABEE" vo pyaar bohat hain..

Toota Jo dil ka aaina tootay sabhee bharam..
U to hoti hai umar pyaar kee jeenay kay leeya kamm..

Teri bayrukhee ka koi hisab hain hee nahee..
U he.. Aasuoo may jindagee guzar du yeh aasan bhee to nahee...

Tu bay kadar... Bay murravat sangdil.. tu sanam bhee na ban saka...
Dukh hain mujhay Jo mera pyaar tujhay insan bhee na bana saka...

Marnay kay leeya dard kee tanha raat hee bohat hain...
Rooh ko zaar zaar karnay kay leeya teray chand labz.. yaar bahot hain...

Tujh bewafa say eak mulaqat bahot hain...
Jitna bhee diya humnay tera saath bahot hain...

No comments:

Post a Comment