Friday, 16 December 2011

Hakikat.... Oor Fasana....!!!!

Hakikat nay eak din poocha meray fasanay say...
Kaisay kat rahee hain jeendagee "UN" kay baywafa ho janay say..

Na kar koshish chupanay ke...daard-e-dil aapnee muskurahat say..
Kay n chupa hain na chupay ga gam-e-dil is jamanay say...

Muskurane ki vajah kya jano tum fasanay nay kaha..
Hum ko to aadat hain unki yaado ko muskura kay tazaa karnay kee...

Yeh hain kismat meri jo kambakth ye hasee bhi aisi hai kee...
Yeh Junun-e-ishq hain jo unki judai mein roo kay bhee aadat hain muskuranay kee....

Tum kay jano muskuratee palko pe sanam chale aate hain,
Vo bay daard kay jaanay kahan se hamare ghum aate hain...

Jism hain kahee paar aay "HAKIKAT" tum kaya jaano "Rooh" aaj bhi meri us mood par khade hain..
jaha kisi nay haat chood kar kaha tha kee thehro hum abhi aate hain…

"Thukra ke usne mujhko,kaha ki muskuraao!!!!
Hum nay muskura diya,aakhir sawal uski khushi ka tha....
Hum nay khoya woh jo humara kabhee tha hi nahi,
Usne khoya wo jo ta-ummar sirf usi ka tha…"

No comments:

Post a Comment