Meri gali se jab bhee vo kadam gujartay hongay..
Kuch door mood pe jaake kuch der vo thertay to hongay...!!!
Bhool jaana mujhko shyad itna aasaan to na hoga
Meri yaad pay dil main kuch toot ke bikharta sa to aaj bhee hoga..!!!
Saath dekhe they Jo un haseen khwabon ka kaarwaa yaad aata to hoga..!!
Un khwabo ke yaad gubaar bankar uski aankho me ubharta to haga
Vo saath haatho may haath guzara huva waqt bhulaya to na jata hoga..
Aapnay hatho ko lakeero may mera naam aaj bhee khoja to zarur hoga..!!!
Laakh koshish kee magar mujhko bhula paya na hoga...
Mai hu nazroo say duur , paar mera aks hawao may, fezao may paaya hoga..!!!!
Koi jab choomta hoga unhay baanho me aapne lekar
Mera"PUKHRAJ" sa saard pyar badan me uske siharta to hoga
Uski julfon ko meri ungliyan dulaarti hongi
Saamne aaine ke wo jab bhi sanwarta hoga
Dard jab bhi deta hoga ye sangdil zamaana ke garm hawa
Wo bawafa is gum huve muhobbat ko yaad karta to hoga..????
" kuch khwabo Kay khat inmay, kuch chand kee aaynay, suraj ke shuaai hain.
Nazam Kay leefafay may kuch meray tajurbay hain, kuch meri duwayai hain"
-Gulzar
*** This was written way back in 2002. Have just modified it a bit. Shabd nayea hain paar ehsaas wahee hain.
No comments:
Post a Comment