Friday, 20 January 2012

Unsay Kehna.....!!!!!

Bikhar rahi thee meri zindagee, samaytee hain mushkeelo say un se kehna....
Kabhi miley agar vo raah chaltay to yahi baat us se kehna....

Who sath thay to zamana tha hamsafar mera
Main Karva may hu paar koi nahin merey sath unsay kehna....

Unsay kehna k bin un kee, un kee yaado say baatay hazaar kartay hain....
Palkay khulee rehtee hain raat din intezaar may unsay kehna.......

Unko pukaaru na pukaaru pasho pash may hu ya khud hi pohanch jaoon us k pas...
Un ke rusvaee ka hain daar, nahin rahey VO hallat unsay kehna

Agar who phir b na lotey to aey meherban dost......
Un kay paak rooh ke ka eak ehssas, oor vo dilkash nazar ke zhalak day day meri zindgi ke khateer unsay kehna.....

Jism paar to haq nahee hain meray.... Rooh un kay naam ke...un say kehna....
Zindagee ke har jeet us kay naam ker rahe hoon main, mantee hoon apni haar unsay kehna…

No comments:

Post a Comment