Tanha bus u hee chandanee raat may akalay say thay....
Teri yadoo kee bahoo may kooch gheeray say thay...
Verran see jagh na tha koi aas paas....
Nazar pheera kar dekha tum they meray paas....
Her tarf teray vajud Kay neesha dekhay humnay....
Chand taroo may bhee Tera ishara dekha humnay....
Hava jab chalee oor "Jism ko chuvaa....
Ehsaas huva jaisay tum na ho chuvaa....
Thandee havao nay jab zulfo ko sehlaya....
Laga tum hee nay to in uljhee latoo ko sulzaya....
Her aahat paar lagy Kay tum ho aaye...
Nazar tumhay khojay oor khud he Sharma see jayee....
OOs kee saard bundo nay jab in hoto ko chuva....
Aankhay band kar Khud ko samatay hum sihar gaye...jaisay tumharay labo nay ho chuva....
Dekha tum nahee thay, kahee bhee nahee thay, Dekh hum ghabraye....
Khud Kay hee...ehsaso ko samatay hum khud he say sharmaye....;-)
Fezaoo nay jab machal kar daaman ko jism say udaya...
Khud ho samatay hum u aaye,jaisay teri aagosh may hum nay duniya bhulaya....
Tanha bus u hee chandanee raat may akalay say thay....
Teri yadoo kee bahoo may kooch gheeray say thay....
No comments:
Post a Comment