Wednesday, 30 November 2011

Sardee ke gaarm yaaday.....

Uhee say baithay thay... Sardee ke.... Sunahree dhoop may.....
Sard hava Kay thapadoy nay kooch seerhan see karee maan may....
Maan ghoom chala peechday bhoolay beesaray deeno may...

Bachpan Kay din.... Chup chup kar vo emlee khana.....theethurtee see. Thandee.. May..
Barf say sard haato ko sotay huvay bhai kay gaalo pay laganay ka sukh..
Razai may dubak kar MA Kay narm o garrm... Haato ke garmee ka sukh..
Vo saard ratoo may... Churaee huve ladeeyo paar haatho ko seakna....

Sardee say huvay surkh gulabee galo ko aainay may baar baar deakhna....
Kohray......ko burka bana kar "UN" say milnay teelay paar jaana....
Barff say sard jism ko "UN" kee Bahoo may garmana...
Un Kay dhoop say gaarm hoto ke chuvan say... Meray sarrd neelay labo ka peghalna...

Saard ratoo..may UN ko yaad kar razai ko seenay say laga kar sona....
Kooch baatay yaad kar muskurana dabana aapnee.. Razai ka kona...
Chai ke chuskee may garmee Kay bheenay bheenay ehsaas ka hona...
Na kabhee bhulay hain bhoolta.....Ghar Kay bheetar he basa hain sardee ke yadoo ka kona...

No comments:

Post a Comment