Kahay kaya kahay..??
kahay huvay to yug beetay hain
Sun nay ko aabhe kooch bakee hain....
Phool, phoolo Kay baaray may kaya kahay...???
Unhay murzaye to din beetay,
Paar khushuboo unkee aabhee bakee hain....
Bahar, bahar Kay baaray may kaya kahay...??
Baharay to aa kar chalee gayee,
Paar kaleeyo ka khilna aabhe bakee hain...
Aankhe, aankho Kay baaray may kaya kahay...??
Unhay band huvay to yug beetay,
Sapno ke mehfilay aabhe bakee hain....
Dil, dil Kay baaray may kaya kahay..??
Dil ko tootay huvay to sadeeya beete...
Paar jakhmo Kay neesha aabhe bakee hain.
Aansoo, aasuoo Kay baaray may kaya kahay..??
Un ko sahra huvay to dinn beetay,
Paar chehray paar un Kay neesha aabhe bakee hain.
No comments:
Post a Comment